Sunday, April 12, 2009

Wo Khuwaab thaa

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

2 comments:

  1. wah karan great yaar
    zmin pe aadmi nahi falak pe kya khuda nahi...

    ReplyDelete
  2. har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
    kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

    really nice poem, i am touched...

    ReplyDelete